Dukh Apna Agar Hum Ko Batana Nahi Aata – Waseem Barelvi | Ghazal And Shayari

This beautiful ghazal 'Dukh Apna Agar Hum Ko Batana Nahi Aata' has written by Waseem Barelvi.

 Source 
लेखक – वसीम बरेलवी
किताब – मेरा क्या
प्रकाशन –  परम्परा प्रकाशन, नई दिल्ली
संस्करण – 2007

Dukh Apna Agar Hum Ko Batana Nahi Aata

Dukh apna agar hum ko batana nahi aata
Tum ko bhi to andaaza lagana nahi aata
Pahuncha hai buzurgon ke bayaano se jo hum tak
Kya baat huyi kyun wo zamaana nahi aata
Main bhi use khone ka hunar seekh na paaya
Uss ko bhi mujhe chhod ke jaana nahi aata
Iss chhote zamaane ke bade kaise banoge
Logon ko jab aapas mein ladaana nahi aata
Dhoondhe hai to palakon pe chamakane ke bahaane
Aansu ko mire aankh mein aana nahi aata
Tareekh ki aankhon mein dhuaan ho gaye khud hi
Tum ko toh koi ghar bhi jalaana nahi aata.
(In Hindi)
दुख अपना अगर हम को बताना नहीं आता
तुम को भी तो अंदाज़ा लगाना नहीं आता
पहुँचा है बुज़ुर्गों के बयानों से जो हम तक
क्या बात हुई क्यूँ वो ज़माना नहीं आता
मैं भी उसे खोने का हुनर सीख न पाया
उस को भी मुझे छोड़ के जाना नहीं आता
इस छोटे ज़माने के बड़े कैसे बनोगे
लोगों को जब आपस में लड़ाना नहीं आता
ढूँढे है तो पलकों पे चमकने के बहाने
आँसू को मिरी आँख में आना नहीं आता
तारीख़ की आँखों में धुआँ हो गए ख़ुद ही
तुम को तो कोई घर भी जलाना नहीं आता।
                                 – Waseem Barelvi