Kya Dukh Hai Samundar Ko – Waseem Barelvi | Ghazal And Shayari

This beautiful ghazal 'Kya Dukh Hai Samundar Ko' has written by Waseem Barelvi.

Kya Dukh Hai Samundar Ko 

Kya dukh hai samundar ko bata bhi nahi sakata
Aansu ki tarah aankh tak aa bhi nahi sakata
Tu chhod raha hai to khata is mein tiri kya
Har shakhs mira saath nibha bhi nahi sakata
Pyaase rahe jaate hain zamaane ke savaalaat
Kis ke liye zinda hoon bata bhi nahin sakata
Ghar dhoond rahe hain mira raaton ke pujaari
Main hoon ki charaagon ko bujha bhi nahin sakata
Vaise to ek aansu hi baha kar mujhe le jaye
Aise koi toofaan hila bhi nahi sakata
(In Hindi)
क्या दुख है समुंदर को बता भी नहीं सकता
आँसू की तरह आँख तक आ भी नहीं सकता
तू छोड़ रहा है तो ख़ता इस में तिरी क्या
हर शख़्स मिरा साथ निभा भी नहीं सकता
प्यासे रहे जाते हैं ज़माने के सवालात
किस के लिए ज़िंदा हूँ बता भी नहीं सकता
घर ढूँढ़ रहे हैं मिरा रातों के पुजारी
मैं हूँ कि चराग़ों को बुझा भी नहीं सकता
वैसे तो इक आँसू ही बहा कर मुझे ले जाए
ऐसे कोई तूफ़ान हिला भी नहीं सकता।
                                     – Waseem Barelvi