In Aankhon Se Din-Raat Barsaat Hogi – Bashir badr | Ghazal And Shayari

This beautiful ghazal 'In Aankhon Se Din-Raat Barsaat Hogi' has written by Bashir Badr.
 Difficult Words 
सर्फ़-ए-जज़्बात = भावनाओं में ख़र्च
अज़ल-ता-अब्द = अनंत काल से प्रलय का दिन।

In Aankhon Se Din-Raat Barsaat Hogi

In aankhon se din-raat barsaat hogi
Agar zindagi sarf-e-jazbaat hogi
Musaafir ho tum bhi, musaafir hain hum bhi
Kisi mod par phir mulaakaat hogi
Sadaaon ko alfaaz milne na paayein
Na baadal ghirenge na barsaat hogi
Charaagon ko aankhon mein mahfooz rakhna
Badi dur tak raat hi raat hogi
Azal-ta-aabd tak safar hi safar hai,
Kahin subah hogi kahin raat hogi .
(In Hindi)
इन आँखों से दिन-रात बरसात होगी
अगर ज़िंदगी सर्फ़-ए-जज़्बात होगी
मुसाफ़िर हो तुम भी, मुसाफ़िर हैं हम भी
किसी मोड़ पर फिर मुलाक़ात होगी
सदाओं को अल्फाज़ मिलने न पायें
न बादल घिरेंगे न बरसात होगी
चराग़ों को आँखों में महफूज़ रखना
बड़ी दूर तक रात ही रात होगी
अज़ल-ता-अब्द तक सफ़र ही सफ़र है,
कहीं सुबह होगी कहीं रात होगी।
                                     – Bashir Badr