Phool Sa Kuch Kalaam Aur Sahi
Phool sa kuch kalaam aur sahi
Ek ghazal us ke naam aur sahi
Us ki julfein bahut ghaneri hain
Ek shab ka kyaam aur sahi
Zindagi ke udaas kisse mein
Ek ladki ka naam aur sahi
Kursiyon ko sunaayiye ghazalein
Katal ki ek shaam aur sahi
Kanpkanpaati hai raat sine mein
Zahar ka ek jaam aur sahi.
(In Hindi)
फूल सा कुछ कलाम और सही
एक ग़ज़ल उस के नाम और सही
उस की ज़ुल्फ़ें बहुत घनेरी हैं
एक शब का क़याम और सही
ज़िन्दगी के उदास क़िस्से में
एक लड़की का नाम और सही
कुर्सियों को सुनाइये ग़ज़लें
क़त्ल की एक शाम और सही
कँपकँपाती है रात सीने में
ज़हर का एक जाम और सही।
– Bashir Badr