Difficult Words
कम-ज़र्फ़ = ओक्षा, कमीना।
क़नाअत = संतोष, संतुष्टि।
Main Ye Nahin Kahta Ki Mira Sar Na Milega
Main ye nahin kahta ki mira sar na milega
Lekin miri aankhon mein tujhe dar na milega
Sar par to bithaane ko hai taiyyaar zamana
Lekin tire rahne ko yahan ghar na milega
Jaati hai chali jaayein ye mai-khaane ki raunak
Kam-zarfon ke haathon mein to sagar na milega
Duniya ki talab hai to kanaat hi na karna
Katre hi se khush ho to samundar na milega.
(In Hindi)
मैं ये नहीं कहता कि मिरा सर न मिलेगा
लेकिन मिरी आँखों में तुझे डर न मिलेगा
सर पर तो बिठाने को है तय्यार ज़माना
लेकिन तिरे रहने को यहाँ घर न मिलेगा
जाती है चली जाए ये मय-ख़ाने की रौनक़
कम-ज़र्फ़ों के हाथों में तो साग़र न मिलेगा
दुनिया की तलब है तो क़नाअत ही न करना
क़तरे ही से ख़ुश हो तो समुंदर न मिलेगा।
– Waseem Barelvi