Difficult Word
शाइरी = शायरी।
Mere Gham Ko Jo Apna Bataate Rahe
Mere gham ko jo apna bataate rahe
Waqt padne pe haathon se jaate rahe
Baarishein aayi aur faisla kar gayi
Log tooti chhatein aazmaate rahe
Aankhein manjar hui kaan nagma hue
Ghar ke andaaz hi ghar se jaate rahe
Shaam aayi to bichhade hue hum-safar
Aansuon se in aankhon mein aate rahe
Nanhe bachhon ne chhu bhi liya chaand ko
Budhe baaba kahaani sunaate rahe
Dur tak haath mein koi patthar na tha
Phir bhi hum jaane kyun sar bachaate rahe
Shaayiri zahar thi kya karen aye ‘Waseem’ ,
Log pite rahe hum pilaate rahe.
(In Hindi)
मेरे ग़म को जो अपना बताते रहे
वक़्त पड़ने पे हाथों से जाते रहे
बारिशें आईं और फ़ैसला कर गईं
लोग टूटी छतें आज़माते रहे
आँखें मंज़र हुईं कान नग़्मा हुए
घर के अंदाज़ ही घर से जाते रहे
शाम आई तो बिछड़े हुए हम-सफ़र
आँसुओं से इन आँखों में आते रहे
नन्हे बच्चों ने छू भी लिया चाँद को
बूढ़े बाबा कहानी सुनाते रहे
दूर तक हाथ में कोई पत्थर न था
फिर भी हम जाने क्यूँ सर बचाते रहे
शाइरी ज़हर थी क्या करें ऐ ‘वसीम’
लोग पीते रहे हम पिलाते रहे।
– Waseem Barelvi