Source
लेखक – वसीम बरेलवी
किताब – मेरा क्या
प्रकाशन – परम्परा प्रकाशन, नई दिल्ली
संस्करण – 2007
Khul Ke Milne Ka Saleeka Aapko Aata Nahi
Khul ke milne ka saleeka aap ko aata nahin
Aur mere paas koi chor darwaja nahin
Wo samajhta tha use pa kar hi main rah jaaunga
Us ko meri pyaas ki shiddat ka andaza nahin
Ja dikha Duniya ko mujh ko kya dikhaata hai guroor
Tu samundar hai to hai main to magar pyasa nahin
Koi bhi dastak kare aahat ho ya aawaaj de
Mere haathon mein mira ghar to hai darwaja nahin
Aapno ko apna kaha chaahe kisi darze ke ho
Aur jab aisa kiya main ne to sharmaya nahin
Us ki mahfil mein unhin ki raushni jin ke charaag
Main bhi kuch hota to mera bhi diya hota nahin
Tujh se kya bichhada miri saari haqeeqat khul gayi
Ab koi mausam mile to mujh se sharmata nahin
(In Hindi)
खुल के मिलने का सलीक़ा आप को आता नहीं
और मेरे पास कोई चोर दरवाज़ा नहीं
वो समझता था उसे पा कर ही मैं रह जाऊँगा
उस को मेरी प्यास की शिद्दत का अंदाज़ा नहीं
जा दिखा दुनिया को मुझ को क्या दिखाता है ग़ुरूर
तू समुंदर है तो है मैं तो मगर प्यासा नहीं
कोई भी दस्तक करे आहट हो या आवाज़ दे
मेरे हाथों में मिरा घर तो है दरवाज़ा नहीं
अपनों को अपना कहा चाहे किसी दर्जे के हों
और जब ऐसा किया मैं ने तो शरमाया नहीं
उस की महफ़िल में उन्हीं की रौशनी जिन के चराग़
मैं भी कुछ होता तो मेरा भी दिया होता नहीं
तुझ से क्या बिछड़ा मिरी सारी हक़ीक़त खुल गई
अब कोई मौसम मिले तो मुझ से शरमाता नहीं।
– Waseem Barelvi