Source
लेखक – वसीम बरेलवी
किताब – मेरा क्या
प्रकाशन – परम्परा प्रकाशन, नई दिल्ली
संस्करण – 2007
Difficult Words
तर्बियत = पालन-पोषण, परवरिश शिक्षा, तालीम।
महदूद = सीमित, थोड़े, हद के भीतर, चंद।
Wo Mere Ghar Nahi Aata Main Uske Ghar Nahi Jata
Wo mere ghar nahin aata main uske ghar nahin jaata
Magar in ehatiyaton se ta’lluk mar nahin jaata
Bure achhe ho jaise bhi ho sab rishte yahin ke hain
Kisi ko saath duniya se koi lekar nahin jaata
Gharon ki tarbiyat kya aa gayi T.V ke haathon mein
Koi bachha ab apne baap ke upar nahin jaata
Khule the shahar mein sau dar magar ek had ke andar hi
Kahan jaata agar main laut ke phir ghar nahin jaata
Mohbbat ke ye aansu hain unhein aankhon mein rahne do
Sharifon ke gharon ka masla baahar nahin jaata
‘Waseem’ us se kaho duniya bahut mahdood hai meri,
kisi dar ka jo ho jaayein wo phir dar dar nahin jaata.
(In Hindi)
वो मेरे घर नहीं आता मैं उस के घर नहीं जाता
मगर इन एहतियातों से तअ’ल्लुक़ मर नहीं जाता
बुरे अच्छे हों जैसे भी हों सब रिश्ते यहीं के हैं
किसी को साथ दुनिया से कोई लेकर नहीं जाता
घरों की तर्बियत क्या आ गई टी-वी के हाथों में
कोई बच्चा अब अपने बाप के ऊपर नहीं जाता
खुले थे शहर में सौ दर मगर इक हद के अंदर ही
कहाँ जाता अगर मैं लौट के फिर घर नहीं जाता
मोहब्बत के ये आँसू हैं उन्हें आँखों में रहने दो
शरीफ़ों के घरों का मसअला बाहर नहीं जाता
‘वसीम’ उस से कहो दुनिया बहुत महदूद है मेरी
किसी दर का जो हो जाए वो फिर दर दर नहीं जाता।
– Waseem Barelvi