Difficult Words
सहरा-ए-आरज़ू = रेगिस्तान की इच्छा।
तिश्नगी = प्यास, इच्छा, लालसा।
ग़ुरूर-ए-बेजा = अत्यधिक अभिमान।
Ye Hain Toh Sab Ke Liye Ho
Ye hain toh sab ke liye ho ye zid humari hain
Is ek baat pe duniya se jung jaari hain
Udaan waalo, udaanon pe waqt bhaari hain
Paron ki ab ke nahin hauslon ki baari hain
Main katra ho ke bhi tufaan se jung leta hoon
Mujhe bachana samundar ki jimmedaari hain
Aisi se jalte hain sahra-e-aarzoo mein charaag
Ye tishangi to mujhe zindagi se pyari hai
Koi bataayein ye us ke guroor-e-beja ko
Wo jung main ne ladi hi nahin jo haari hai
Har ek saans pe pahra hai be-yakini ka
ye zindagi to nahin maut ki sawaari hai
Dua karo ki salaamat rahe miri himmat,
Ye ek charaag kayi aandhiyon pe bhaari hain.
(In Hindi)
ये है तो सब के लिए हो ये ज़िद हमारी है
इस एक बात पे दुनिया से जंग जारी है
उड़ान वालो, उड़ानों पे वक़्त भारी है
परों की अब के नहीं हौसलों की बारी है
मैं क़तरा हो के भी तूफ़ाँ से जंग लेता हूँ
मुझे बचाना समुंदर की ज़िम्मेदारी है
इसी से जलते हैं सहरा-ए-आरज़ू में चराग़
ये तिश्नगी तो मुझे ज़िंदगी से प्यारी है
कोई बताए ये उस के ग़ुरूर-ए-बेजा को
वो जंग मैं ने लड़ी ही नहीं जो हारी है
हर एक साँस पे पहरा है बे-यक़ीनी का
ये ज़िंदगी तो नहीं मौत की सवारी है
दुआ करो कि सलामत रहे मिरी हिम्मत,
ये इक चराग़ कई आँधियों पे भारी है।
– Waseem Barelvi