Difficult Words
मुखालफत = अस्वीकृति, विरोध।
तारीकियों = अन्धकार।
Ek Chehra Sath Sath Raha Jo Mila Nahi
Ek chehra saath saath raha jo mila nahi
Kisko talaash karte rahe kuch pata nahi
Shiddat ki dhoop tez hawaaon ke baawjood
Main shaakh se gira hoon nazar se gira nahi
Aakhir ghazal ka taajmahal bhi hai maqbara
Hum zindagi the humko kisi ne jiya nahi
Jiski mukhaalfat hui mashahoor ho gaya
In pattharon se koi parinda gira nahi
Taarikiyon mein aur chamkti hai dil ki dhoop
Sooraj tamaam raat yahan doobta nahi
Kisne jalaayi bastiyaan baazar kyon lute
Main chaand par gaya tha mujhe kuch pata nahi.
– Bashir Badr
एक चेहरा साथ साथ रहा जो मिला नहीं
(In Hindi)
एक चेहरा साथ साथ रहा जो मिला नहीं
किसको तलाश करते रहे कुछ पता नहीं
शिद्दत की धूप तेज़ हवाओं के बावजूद
मैं शाख़ से गिरा हूँ नज़र से गिरा नहीं
आख़िर ग़ज़ल का ताजमहल भी है मकबरा
हम ज़िन्दगी थे हमको किसी ने जिया नहीं
जिसकी मुखालफ़त हुई मशहूर हो गया
इन पत्थरों से कोई परिंदा गिरा नहीं
तारीकियों में और चमकती है दिल की धूप
सूरज तमाम रात यहां डूबता नहीं
किसने जलाई बस्तियाँ बाज़ार क्यों लुटे
मैं चाँद पर गया था मुझे कुछ पता नहीं।
– बशीर बद्र