Kaun Aaya Raaste Aaina Khane Ho Gaye – Bashir Badr | Ghazal And Shayari

This beautiful ghazal 'Kaun Aaya Raaste Aaina Khane Ho Gaye' has written by Bashir Badr.

Kaun Aaya Raaste Aaina Khane Ho Gaye

Kaun aaya raaste aaina khaane ho gaye
Raat raushan ho gayi din bhi suhaane ho gaye
Kyon haweli ke ujadne ka mujhe afsos ho
Saikadon beghar parindon ke thikaane ho gaye
Ye bhi mumkin hai ke usne mujhko pahchaana na ho
Ab use dekhe hue kitne zamaane ho gaye
Jao un kamron ke aaine uthaakar fenk do
Wo agar ye kah rahe ho hum puraane ho gaye
Meri palkon par ye aansoo pyar ki tauhin hai
Unki aankhon se gire moti ke daane ho gaye
                                    – Bashir Badr
कौन आया रास्ते आईना ख़ाने हो गए
(In Hindi)
कौन आया रास्ते आईना ख़ाने हो गए
रात रौशन हो गई दिन भी सुहाने हो गए
क्यों हवेली के उजड़ने का मुझे अफ़सोस हो
सैकड़ों बेघर परिंदों के ठिकाने हो गए
ये भी मुमकिन है के उसने मुझको पहचाना न हो
अब उसे देखे हुए कितने ज़माने हो गए
जाओ उन कमरों के आईने उठाकर फेंक दो
वो अगर ये कह रहें हो हम पुराने हो गए
मेरी पलकों पर ये आँसू प्यार की तौहीन हैं
उनकी आँखों से गिरे मोती के दाने हो गए।
                                          – बशीर बद्र