Khaak se badhkar koi daulat nahi hoti – Rahat Indori | Ghazal

This Beautiful Ghazal 'Khaak se badhkar koi daulat nahi hoti' which is written and performed by Rahat Indori.

Khaak se badhkar koi daulat nahi hoti

Khaak se badhkar koi daulat nahi hoti
Choti moti baat pe hijrat nahi hoti

Pehle deep jalein to charche hote the
Ab shahar jalein to hairat nahi hoti

Roti ki golai naapa karta hai
Isiliye to ghar mein barkat nahi hoti

Koi kya de raay hamaare baare mein
Aise waiso ki to himmat nahi hoti

                                               – Rahat Indori


Khaak se badhkar koi daulat nahi hoti ( In Hindi )

ख़ाक से बढ़कर कोई दौलत नहीं होती
छोटी मोटी बात पे हिजरत नहीं होती

पहले दीप जले तो चर्चे होते थे
अब शहर जलें तो हैरत नहीं होती

रोटी की गोलाई नापा करता है
इसीलिए तो घर में बरकत नहीं होती

कोई क्या दे राय हमारे बारे में
ऐसे वैसो की तो हिम्मत नहीं होती

                                  – राहत इंदौरी