Zameen Maa Hai Zamin Ko Daga Nahi Denge
Ho lakh zulm magar baddua nahi denge
Zameen maa hai zamin ko daga nahi denge
Humein to sirf jagaana hai sone walo ko
Jo dar khula hai wahaan hum sadaa nahi denge
Rivaayaton ki safein todhkar badho
Warna jo tumse aage hain wo raasta nahi denge
Sharaab pi ke bade tajurbe hue hain humein
Shareef logo ko hum mashvara nahi denge
– Rahat Indori
Zameen Maa Hai Zamin Ko Daga Nahi Denge (In Hindi)
हो लाख ज़ुल्म मगर बद्दुआ नहीं देंगे
ज़मीन माँ है ज़मीं को दगा नहीं देंगे
हमें तो सिर्फ जगाना है सोने वालो को
जो दर खुला है वहाँ हम सदा नहीं देंगे
रिवायतों की सफें तोड़कर बढ़ो
वरना जो तुमसे आगे हैं वो रास्ता नहीं देंगे
शराब पी के बड़े तजुरबे हुए हैं हमें
शरीफ लोगो को हम मश्वरा नहीं देंगे
– राहत इंदौरी