About This Poetry :- This beautiful love poetry ‘Kaash’ for The Social House is performed by Aaditya Mudgal and also written by him which is very beautiful a piece.
यह नज़्म उस वक्त पर लिखी गई है जब एक इंसान दुनिया में सब कुछ खो देने के बाद, एक कमरे में अंधेरा करके थका, हारा, मायूस अपनी कुर्सी पर बैठा, खिड़की से बाहर देखते हुए अपने दिल में एक लफ्ज़ बार-बार दोहराता है कि
Kaash By Aaditya Mudgal
Kaash koi hota jo haath thaam leta
Kaash koi hota jo mera naam leta
Rishton mein samajhdaari bahut dekh li
Kaash koi hota jo dil se kaam leta
Main hansu ye soch kar jo rona chhod deta
Mere sapanon ke liye jo sona chhod deta
Mere hujre ki banaawat dekhne ke baad bhi
Jo apne aaleeshaan mahal ka kona chhod deta
Kaash apne sar koi iljaam leta
Kaash koi hota jo dil se kaam leta
Ret si ummeed lekar baith jaata
Hoon pukaarta jise wo hi ek vaaqif nahin
Phir jhaad kar haathon ko apne, sar jhukaaye raat mein
Yaad karke ghar ka kamra, laut jaata hoon wahin
Kaash mere dard mein koi aaraam deta
Kaash koi hota jo dil se kaam leta
– Aaditya Mudgal
Kaash By Aaditya Mudgal In Hindi
काश!
याद करके घर का कमरा, लौट जाता हूं वही