Wo Roza To Nahi Rakhta Par Iftaari Samajhta Hai
Siyasat mein zaruri hai rawadaari samajhta hai
Wo roza to nahi rakhta par iftaari samajhta hai
Main saasein tak luta sakta hoon uske ek ishaare par
Magar wo mere har vaade ko sarkaari samajhta hai
Kaseeda kis tarah likhna, kaseeda kis tarah padhna
Wo kuch samjhe na samjhe raagdarbaari samajhta hai.
– Rahat Indori
Wo Roza To Nahi Rakhta Par (In Hindi)
सियासत में ज़रूरी है रवादारी समझता है
वो रोज़ा तो नहीं रखता पर इफ्तारी समझता है
मैं साँसें तक लुटा सकता हूँ उसके एक इशारे पर
मगर वो मेरे हर वादे को सरकारी समझता है
कसीदा किस तरह लिखना कसीदा किस तरह पढ़ना
वो कुछ समझे ना समझे रागदरबारी समझता है
– राहत इंदौरी