Patthar Ke Jigar waalo Gham Mein Wo Rawaani Hai – Bashir Badr | Shayari And Ghazal

Patthar Ke Jigar waalo Gham Mein Wo Rawaani Hai shayari, written by Bashir Badr.

Patthar Ke Jigar waalo Gham Mein Wo Rawaani Hai

Patthar ke jigar waalo gham mein wo rawaani hai
Khud raah bana lega bahta hua paani hai
 
Phoolon mein ghazal rakhna ye rat ki raani hai
Us mein teri zulfon ki be-rabt kahaani hai
Ek zehan-e-pareshaan mein wo phool sa chehara hai
Patthar ki hifaazat mein sheeshe ki jawaani hai
Kyon chandni raaton mein dariya pe nahaate ho
Soye huye paani mein kya aag lagaani hai
Is hausla-e-dil par hum ne bhi kafan pahna
Hans kar koi puchhega kya jaan gawaani hai
Rone ka asar dil par rah rah ke badalta hai
Ansoo kabhi sheesha hai ansoo kabhi paani hai
Ye shabnami lehja hai aahista ghazal padhna
Titli ki kahaani hai phoolon ki zabaani hai
Patthar Ke Jigar waalo Gham Mein Wo Rawaani Hai shayari, written by Bashir Badr.

पत्थर के जिगर वालों ग़म में वो रवानी है
ख़ुद राह बना लेगा बहता हुआ पानी है
फूलों में ग़ज़ल रखना ये रात की रानी है
इस में तेरी ज़ुल्फ़ों की बे-रब्त कहानी है
एक ज़हन-ए-परेशाँ में वो फूल सा चेहरा है
पत्थर की हिफ़ाज़त में शीशे की जवानी है
क्यों चांदनी रातों में दरिया पे नहाते हो
सोये हुए पानी में क्या आग लगानी है
इस हौसला-ए-दिल पर हम ने भी कफ़न पहना
हँस कर कोई पूछेगा क्या जान गवानी है
रोने का असर दिल पर रह रह के बदलता है
आँसू कभी शीशा है आँसू कभी पानी है
ये शबनमी लहजा है आहिस्ता ग़ज़ल पढ़ना
तितली की कहानी है फूलों की ज़बानी है
Written By:
Bashir Badr