Raakh Hui Aankhon Ki Shamyein – Bashir Badr | Shayari And Ghazal

Raakh hui aankhon ki shamyein shayari has written by Bashir Badr





Raakh Hui Aankhon Ki Shamyein

Raakh hui aankhon ki shamein, aansoo bhi benoor hue
Dheere dheere mera dil patthar sa hota jaata hai
Apna dil hai ek parinda jiske baajoo toote hai
Hasrat se baadal ko dekho baadal udta jaata hai
Saari raat barsne waali baarish ka main aanchal hoon
Din me kaanton par failakar mujhe sukhaaya jaata hai
Humne to baazar me duniya bechi aur khareedi hai
Humko kya maloom kisi ko kaise chaaha jaata hai
राख हुई आँखों की शम्एं, आँसू भी बेनूर हुए
धीरे धीरे मेरा दिल पत्थर सा होता जाता है
अपने दिल है एक परिन्दा जिसके बाजू टूटे हैं
हसरत से बादल को देखे बादल उड़ता जाता है
सारी रात बरसने वाली बारीश का मैं आँचल हूँ
दिन में काँटों पर फैलाकर मुझे सुखाया जाता है
हमने तो बाजार में दुनिया बेची और खरीदी है
हमको क्या मालूम किसी को कैसे चाहा जाता है
Written By:
Bashir Badr