Main Bhaav-Soochi In Hindi
मैं भाव-सूची उन भावों की, जो बिके सदा ही बिन तोले
तन्हाई हूँ हर उस ख़त की जो पढ़ा गया है बिन खोले
हर आँसू को हर पत्थर तक पहुँचाने की लाचार हूक
मैं सहज अर्थ उन शब्दों का जो सुने गए हैं बिन बोले
जो कभी नहीं बरसा खुल कर हर उस बादल का पानी हूँ
लव कुश की पीर, बिना गाई सीता की राम कहानी हूँ
जिनके सपनों के ताजमहल बनने से पहले टूट गए
जिन हाथों में दो हाथ कभी आने से पहले छूट गए
धरती पर जिनके खोने और पाने की अजब कहानी है
किस्मत की देवी मान गई पर प्रणय देवता रूठ गए
मैं मैली चादर वाले उस कबीरा की अमरित-बानी हूँ
लव कुश की पीर, बिना गाई सीता की राम कहानी हूँ
कुछ कहते हैं मैं सीखा हूँ अपने ज़ख़्मों को ख़ुद सी कर
कुछ जान गए, मैं हँसता हूँ भीतर-भीतर आँसू पी कर
कुछ कहते हैं, मैं हूँ विरोध से उपजी एक ख़ुद्दार विजय
कुछ कहते हैं, मैं रचता हूँ ख़ुद में मर कर ख़ुद में जी कर
लेकिन मैं हर चतुराई की सोची-समझी नादानी हूँ
लव कुश की पीर, बिना गाई सीता की राम कहानी हूँ
– कुमार विश्वास
Main Bhaav-Soochi
Main bhaav-soochi un bhaawon ki, jo bike sada hi bin tole
Tanhaai hoon har us khat ki jo padha gaya hai bin khole
Har aansoo ko har patthar tak pahunchaane ki laachaar hook
Main sahaj arth un shabdon ka jo sune gaye hain bin bole
Jo kabhi nahin barsa khul kar har us baadal ka paanee hoon
Lav kush ki peer, bina gaayi seeta ki raam kahaani hoon
Jinke sapanon ke tajmahal banne se pahle toot gaye
Jin haathon mein do haath kabhi aane se pahle chhoot gaye
Dharti par jinke khone aur paane ki ajab kahaani hai
Kismat ki devi maan gayi par pranay devata rooth gaye
Main maili chaadar waale us kabira ki amrit-baani hoon
Lav kush ki peer, bina gayi seeta ki raam kahaani hoon
Kuch kahte hain main seekha hoon apne zakhmon ko khud si kar
Kuch jaan gaye, main hansta hoon bheetar-bheetar aansoo pi kar
Kuch kahte hain, main hoon virodh se upaaji ek khuddaar vijay
Kuch kahate hain, main rachta hoon khud mein mar kar khud mein ji kar
Lekin main har chaturaai ki sochi-samajhi naadaani hoon
Lav kush ki peer, bina gayi seeta ki raam kahaani hoon
– Kumar Vishwas