Ajnabi Khwaahishein Seene Me….
अजनबी ख्वाहिशें सीने में दबा भी न सकूँ
ऐसे जिद्दी हैं परिंदे के उड़ा भी न सकूँ
फूँक डालूँगा किसी रोज ये दिल की दुनिया
ये तेरा खत तो नहीं है कि जला भी न सकूँ
मेरी गैरत भी कोई शय है कि महफ़िल में मुझे
उसने इस तरह बुलाया है कि जा भी न सकूँ
इक न इक रोज कहीं ढ़ूँढ़ ही लूँगा तुझको
ठोकरें ज़हर नहीं हैं कि मैं खा भी न सकूँ
फल तो सब मेरे दरख्तों के पके हैं लेकिन
इतनी कमजोर हैं शाखें कि हिला भी न सकूँ
मैंने माना कि बहुत सख्त है ग़ालिब कि ज़मीन
क्या मेरे शेर है ऐसे कि सुना भी न सकूं
– राहत इन्दौरी
Ajnabi khwaahishein seene me daba bhi na sakoon
Aise ziddi hai parinde ke uda bhi na sakoon
Phoonk daaloonga kisi roz ye dil ki duniya
Ye tera khat to nahi hai ki jala bhi na sakoon
Meri gairat bhi koi shay hai ki mahfil me mujhe
Usne is tarah bulaaya hai ki jaa bhi na sakoon
Ik na ik roz kahin doondh hi lunga tujhko
Thokrein zahar nahin hai ki main kha bhi na sakoon
Phal to sab mere darakhton ke pake hain lekin
Itni kamjor hai shaakhe ki hila bhi na sakoon
Maine mana ki bahut sakht hai Galib ki zameen
Kya mere sher hain aise ki suna bhi na sakoon
– Rahat Indori