Chhu Gaya Jab Kabhi Khayal Tera..
छू गया जब कभी ख्याल तेरा
दिल मेरा देर तक धड़कता रहा
कल तेरा ज़िक्र छिड़ गया घर में
और घर देर तक महकता रहा
रात हम मैक़दे में जा निकले
घर का घर शहर मैं भटकता रहा
उसके दिल में तो कोई मैल न था
मैं खुद जाने क्यूँ झिझकता रहा
मुट्ठियाँ मेरी सख्त होती गयी
जितना दमन कोई भटकता रहा
मीर को पढते पढते सोया था
रात भर नींद में सिसकता रहा
– राहत इन्दोरी
Chhu gaya jab kabhi khayal tera
Dil mera der tak dhadkta raha
Tera zikr chhid gaya ghar mein
Aur ghar der tak mahkta raha
Raat hum maiqade mein jaa nikale
Ghar ka ghar shahar main bhatkta raha
Uske dil main to koi mail na tha
Main khud jaane kyun jhijhakta raha
Muththiya meri sakht hoti gayi
Jitna daman koi bhatakta raha
Meer ko padhte padhte soya tha
Raat bhar neend main sisakta raha
– Rahat Indori