Credit:
Poetry Title – Charaaghon Ko Uchhaala Ja Raha Hai
Written By – Rahat Indori
Difficult Words:
Charaaghon Ko Uchhaala Ja Raha Hai
चराग़ों को उछाला जा रहा है
हवा पर रौब डाला जा रहा है…
न हार अपनी न अपनी जीत होगी
मगर सिक्का उछाला जा रहा है
वो देखो मयकदे के रास्ते में
कोई अल्लाह वाला जा रहा है
थे पहले ही कई सांप आस्तीं में
अब इक बिच्छू भी पाला जा रहा है
मिरे झूठे गिलासों की छका कर
बहकतों को संभाला जा रहा है
हमी बुनियाद का पत्थर हैं लेकिन
हमें घर से निकाला जा रहा है
जनाज़े पर मिरे लिख देना यारो
मोहब्बत करने वाला जा रहा है
– राहत इंदौरी
Charaaghon ko uchhaala ja raha hai,
hawa par raub dala ja raha hai.
Na haar apni na apni jeet hogi,
magar sikka uchhaala ja raha hai.
Woh dekho maikade ke raaste mein,
koi allaah wala ja raha hai.
The pehle hi kayi saanp aasteen mein,
ab ek bichchhu bhi pala ja raha hai.
Mere jhoote gilaason ki chhakaa kar,
behakton ko sambhaala ja raha hai.
Humin buniyaad ka patthar hain lekin,
humein ghar se nikaala ja raha hai.
Janaaze par mere likh dena yaaro,
mohabbat karne wala jaa raha hai. !!
– Rahat Indori