Difficult Word
ख़यानत = अमानत रखी वस्तु को चुरा लेना।
Jaagne Ki Bhi Jagaane Ki Bhi Aadat Ho Jaaye
Jaagne ki bhi jagaane ki bhi aadat ho jaaye
Kaash tujhko kisi shayar se mohabbat ho jaaye
Door hum kitne dino se hain kabhi gaur kiya
Phir na kehna jo amaanat mein khayaanat ho jaaye
Jugnuon tumko naye chaand ugaane honge
Isse pehle ke andheron ki huqumat ho jaaye
Ukhde padte hain meri kabr ke patthar har din
Tum jo aa jao kisi din to marammat ho jaaye
– Rahat Indori
जागने की भी जगाने की भी आदत हो जाए
काश तुझे भी किसी शायर से मोहब्बत हो जाए
दूर हम कितने दिनों से हैं कभी गौर किया है
फिर न कहना अमानत ख़यानत हो जाये
जुगनुओं तुमको नए चांद उगाने होंगे
इससे पहले की अंधेरो की हुकूमत हो जाए
उखड़े पड़ते हैं मेरी कब्र के पत्थर हर दिन
तुम जो आ जाओ किसी दिन तो मरम्मत हो जाये
– राहत इंदौरी