Teri Parchhaai Mere Ghar Se Nahi Jaati Hai – Dr. Rahat Indori | Ghazal

This beautiful shayari 'Teri Parchhaai Mere Ghar Se Nahi Jaati Hai' which is written and performed by famous legend Shayar Dr. Rahat Indori.

Teri Parchhaai Mere Ghar Se Nahi Jaati Hai

Teri parchhaai mere ghar se nahi jaati hai
Tu kahin ho mere andar se nahi jaati hai

Aasmaan maine tujhe sar pe utha rakha hai
Ye hai tohmat jo mere sar se nahin jaati hai

Dukh to ye hai ke abhi apni safein tirchhi hain
Ye buraai mere lashkar se nahin jaati hai

Taj machhli ne safaai ka pehen rakha hai
Gandgi hai ke samandar se nahin jaati hai

Ek mulaakat ka jaadu ke utarta hi nahin
Teri khushboo meri chaadar se nahin jaati hai

                                           – Rahat Indori

Teri Parchhaai Mere Ghar Se Nahi Jaati Hai ( In Hindi)

तेरी परछाई मेरे घर से नहीं जाती है
तू कहीं हो मेरे अंदर से नहीं जाती है

आसमान मैंने तुझे सर पे उठा रखा है
ये है तोहमत जो मेरे सर से नहीं जाती है

दुःख तो ये है के अभी अपनी सफें तिरछी हैं
ये बुराई मेरे लश्कर से नहीं जाती है

ताज मछली ने सफाई का पहन रखा है
गंदगी है के समन्दर से नहीं जाती है

एक मुलाक़ात का जादू के उतरता ही नहीं
तेरी खुशबु मेरी चादर से नहीं जाती है

                                          – राहत इंदौरी