Use Ab Ke Wafaon Se Guzar Jaane Ki Jaldi Thi – Rahat Indori | Ghazal And Shayari

Use Ab Ke Wafaon Se Guzar Jaane Ki Jaldi Thi written and performed by Rahat Indori, this poetry is best Shayari and Ghazal of Rahat Indori.

Use Ab Ke Wafaon Se…

उसे अब के वफाओं से गुजर जाने की जल्दी थी
मगर इस बार मुझ को अपने घर जाने की जल्दी थी

इरादा था कि मैं कुछ देर तूफाँ का मज़ा लेता
मगर बेचारे दरिया को उतर जाने की जल्दी थी

मैं अपनी मुट्ठियों मैं क़ैद कर लेता ज़मीनों को
मगर मेरे क़बीले को बिखर जाने की जल्दी थी

मैं आखिर कौनसा मौसम तुम्हारे नाम कर देता
यहाँ हर एक मौसम को गुजर जाने की जल्दी थी

वो शाखों से जुदा होते हुए पत्तों पे हँसते थे
बड़े जिंदा-नज़र थे जिन को मर जाने की जल्दी थी

मैं साबित किस तरह करता कि हर आईना झूटा है
कई कम-ज़र्फ़ चेहरों को उतर जाने की जल्दी थी

                                                      – राहत इंदौरी

Use ab ke wafaon se guzar jaane ki jaldi thi
Magar is baar mujh ko apne ghar jaane ki jaldi thi

Irada tha ki main kuch der toofan ka maja leta
Magar bechare dariya ko utar jaane ki jaldi thi

Main apni mutthiyon main qaid kar leta zamino ko
Magar mere kabile ko bikhar jaane ki jaldi thi

Main aakhir kaunsa mausam tumhare naam kar deta
Yahan har ek mausam ko gujar jaane ki jaldi thi

Wo shakhon se juda hote hue patton pe hanste the
Bade zinda-nazar the jin ko mar jaane ki jaldi thi

Main saabit kis tara karta ki har aaina jhoota hai
Kai kam-zarf cheharon ko utar jaane ki jaldi thi

                                               – Rahat Indori